Wednesday, 7 March 2018

AARZOO HONE CHAHIYE KISI KO YAAD KARNE KI

AARZOO HONE CHAHIYE KISI KO YAAD KARNE KI...




Muje ye dar hai teri arzu na mit jaye,
Bahut dinon se tabyat meri udas nahin.

Kuch to mere pandar e muhabbat ka bharam rakh,
To bhi to kabhi mujh ko manane k liye aa.

Faryad kar rahi hai ye tarsi huyi nighah,
Dikhe huye kisi ko bahut din guzar gaye.

Fitarat e arzoo k peron me zanjerain na dal,
Pyar kar kushboo se, phool ki tamana na kar.



Umer e daraz mang k laye the char din,
Do arzo me kat gayi do intazar mein.

Ajab tali hai jo ik hath se bajati hai barson se,
K me jaon to jaon wo kabhi aa kar nahin milta.

Tu hai suraj tujhe raat ka kya maloom,
Tu kisi rooz utar mere ghar main shaam ke bad.

Arzoo ya hay k izhar-e- muhabbat ker lu,
Alfaz chunti hoon to lahmhaat badal jate hain.

Betha ho es umeed par es rigzar par,
K le aaye kabhi es taraf tujhe khuda kabhi



Uski khawish hai ke angan main utae soraj,
Bhol betha hai k khud mom ka ghar rakhta hai.

Kya likhu dil ki haqeeqat aarzoo behosh hai,
Khat pe aansoo beh rahey hai aur kalam khaamosh hai.

Hum teri aarzoo main jeete hain.
Ye nahi hai to zindagi nahi.


No comments:

Post a Comment